تبادلۂ خیال:ریکی

صفحے کے مندرجات دوسری زبانوں میں قابل قبول نہیں ہیں۔
آزاد دائرۃ المعارف، ویکیپیڈیا سے

Wikipedia ka unwaan to "Free encyclopedia" hai lekin ye sirf aur sirf aik makhsoos soch ki hi numaindagi karta hai aur azad bikul bhi nahin hai. Agar aam shakhs iss main koi tarmeem kare ya koi naya mazmoon likhe to khufia taqaton ke agent foran uss ko zail kar dete hain aur tehreer ko wapas apni purani likhi hoi shakal main bahal kar dete hain, iss baat se qata nazar ke wo kitni mustanad tarmeem thi. Agar tehreer unn ki marzi ki nahin to ghair mustanad qarar dekar foran uss ka qala qama kar dia jata hai. Wikipedia ko dunia ki aankhon main dhool jhonkne ke liye istemal kia jata hai khas tor par musalamano ke, aur ye website dunia ko warghalane ka kaam ilm ki aar lekar ba khoobi kar raha hai. Iss liye meri tamam zishaoor aur haqiqat pasand logon se ye darkhwast hai ke Wikipedia main di gai maloomaat par bharosa na karen aur asal main azad zarae ko apne ilm ka sarchishma banaen, warna gumrahi aap ka muqadar ban jaye gi, kunke taghooti quwaten iss ko azad ka naam dekar baghair kisi zimmedari ke logon ke samne ghalat maloomat pesh kar rahi hain, aur bari asani se iss agende ko takmeel tak pohnchana rahi hain

  • براہ کرم انگییزی یا اردو میں لکھیں۔ بتائیں آپ اس مضمون میں کیا ترمیم کرنا چاہتے ہیں؟ بحوالہ ترمیم کریں، اپنے ذاتی خیالات مضمون میں نہیں لکھے جا سکتے۔ --Urdutext 23:17, 26 اکتوبر 2011 (UTC)