صارف:Drahmadalibarqiazmi

آزاد دائرۃ المعارف، ویکیپیڈیا سے




Dr Ahmad Barqi Azmi


Hai Aaloodgi Nau e Insan ki Dushman

Slow poison hai fiza mein pollution
har ek shakhs par yeh haqeeqat hai roshan
yunhi log be maut marte rahenge
Nah hoga agar jald iska solution
Bade shar hai zad meinaaloodgi ki
Jo hassas hain unko hai is se uljhan
Fiza mein hain tahleel masmoom gaisein
hai mahdood mahaul mein oxigen
Jidhar dekhiye carbon ke asar se
hai mail bah pazhmurdagi sahn e gulshan
Kisi ko dama hi kisi ko illergy
mokaddar hava se kisi ko hai tension
Jawanon ke aasaab par hai nqahat
Buzurgon ki ab zindagi hai ajiran
Kahan jayein ham bach ke aaloodgi se
Kahin bhi nahin chain gulshan ho ya ban
Kai 'Union Corbide hain ab bhi
Jo dar pardah hain nau e insan ke dushman
Shab o rooz aaloodgi badh rahi hai
Hain nadiyan sarasar ksafat ka makhzan
Jahan garm se garm tar ho raha hai
Na ho jaye nau e bashar iska eindhan
Hai 'O Zone' bhi zad mein aaloodgi ki
jo hai kurra e arz par sayah afgan
Jo bharte hain dam rahbari ka jahan ki
Woh rahbar nahin dar haqeeqat hain rahzan
Kayoto se karte hain khud chashm poshi
Lagane chale dosron par hain qadghan
Banate hain khud Atomi aslahe woh
Samajhte hain khud ko magar pakdaman
Tsunami hai unke liye dars e ibrat
Dikhane chale hain jo fitrat ko darpan
Salamat ravi ka taqazah yahi hai
Chudayein sabhi is musibat se daman
Hai ' Ahmad Ali 'waqt ki yeh zaroorat
Baharhaal ab sab pe naafiz ho qadghan